zat ka dasht-e-KHatar yaad aaya
Interesting Fact
نذرِ غالب
zaat kā dasht-e-ḳhatar yaad aayā
daf'atan auj-e-bashar yaad aayā
ḳhāna-e-ḳhvāb meñ dam le lete
kyā kareñ apnā hī ghar yaad aayā
sabz shāḳhoñ pe dahakte hue phuul
manzar-e-ḳhvāb-asar yaad aayā
chand jhoñke the havāoñ ke magar
phir na pattā na shajar yaad aayā
aisā ābād thā sahrā-e-junūn
kaisī dīvār na dar yaad aayā
abr ne jab bhī uḌāyā āñchal
apnā hī dāman-e-tar yaad aayā
sard inkār ke zindānoñ meñ
garm ḳhushbū kā guzar yaad aayā
rang aur chehra-e-qātil se ḳhafā
koī 'unvān-e-ḳhabar yaad aayā
āsmāñ chāhe gire yā na gire
dekheñ kis kis ko hai sar yaad aayā
dā'vā-e-zohd-o-'ibādat se mujhe
ik riyā-kār kā shar yaad aayā
jī meñ Thānī hai na bhūleñge kabhī
vo agar bār-e-digar yaad aayā
ġham ko bāzār dikhānā hī paḌā
vaqt-e-'usrat ye hunar yaad aayā
us shab-e-zar ke añdhere meñ kise
ashk-e-tābāñ kā guhar yaad aayā
gul khilātā huā har ek ravish
phir mirā sho’la-e-fariyād aayā
hai zamīñ jis kī haqīqat kā surāġh
'fauq' vo ḳhvāb-e-sahar yaad aayā
zat ka dasht-e-KHatar yaad aaya
daf'atan auj-e-bashar yaad aaya
KHana-e-KHwab mein dam le lete
kya karen apna hi ghar yaad aaya
sabz shaKHon pe dahakte hue phul
manzar-e-KHwab-asar yaad aaya
chand jhonke the hawaon ke magar
phir na patta na shajar yaad aaya
aisa aabaad tha sahra-e-junun
kaisi diwar na dar yaad aaya
abr ne jab bhi uDaya aanchal
apna hi daman-e-tar yaad aaya
sard inkar ke zindanon mein
garm KHushbu ka guzar yaad aaya
rang aur chehra-e-qatil se KHafa
koi 'unwan-e-KHabar yaad aaya
aasman chahe gire ya na gire
dekhen kis kis ko hai sar yaad aaya
da'wa-e-zohd-o-'ibaadat se mujhe
ek riya-kar ka shar yaad aaya
ji mein Thani hai na bhulenge kabhi
wo agar bar-e-digar yaad aaya
gham ko bazar dikhana hi paDa
waqt-e-'usrat ye hunar yaad aaya
us shab-e-zar ke andhere mein kise
ashk-e-taban ka guhar yaad aaya
gul khilata hua har ek rawish
phir mera sho’la-e-fariyaad aaya
hai zamin jis ki haqiqat ka suragh
'fauq' wo KHwab-e-sahar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.