hum chal to paDe ai jazba-e-dil jaana hai kidhar malum nahin
ham chal to paḌe ai jazba-e-dil jaanā hai kidhar mā'lūm nahīñ
āġhāz-e-safar par nāzāñ haiñ anjām-e-safar mā'lūm nahīñ
kab jaam bhare kab daur chale kab aa.e idhar mā'lūm nahīñ
uTThī bhī agar Thahregī kahāñ saaqī kī nazar mā'lūm nahīñ
ham nik.hat-e-gesū kī kab se ik aas lagā.e baiThe haiñ
aatī hai kidhar se bād-e-sabā jaatī hai kidhar mā'lūm nahīñ
mumkin ho to ik lamhe ko zarā taklīf-e-tabassum kar liije
ham meñ se abhī tak kitnoñ ko mafhūm-e-sahar mā'lūm nahīñ
jazbāt ke sau 'ālam guzre ehsās kī sadiyāñ biit ga.iiñ
āñkhoñ se abhī un āñkhoñ tak kitnā hai safar mā'lūm nahīñ
kyā haal hamārā rahtā hai kyā un ko zamāna kahtā hai
achchhā hai unheñ mā'lūm na ho kuchh un ko agar mā'lūm nahīñ
'iqbāl' hamārā josh-e-talab kyā jaane kidhar le jā.egā
nikle haiñ talāsh-e-manzil meñ aur rāhguzar mā'lūm nahīñ
hum chal to paDe ai jazba-e-dil jaana hai kidhar ma'lum nahin
aaghaz-e-safar par nazan hain anjam-e-safar ma'lum nahin
kab jam bhare kab daur chale kab aae idhar ma'lum nahin
uTThi bhi agar Thahregi kahan saqi ki nazar ma'lum nahin
hum nikhat-e-gesu ki kab se ek aas lagae baiThe hain
aati hai kidhar se baad-e-saba jati hai kidhar ma'lum nahin
mumkin ho to ek lamhe ko zara taklif-e-tabassum kar lije
hum mein se abhi tak kitnon ko mafhum-e-sahar ma'lum nahin
jazbaat ke sau 'alam guzre ehsas ki sadiyan bit gain
aankhon se abhi un aankhon tak kitna hai safar ma'lum nahin
kya haal hamara rahta hai kya un ko zamana kahta hai
achchha hai unhen ma'lum na ho kuchh un ko agar ma'lum nahin
'iqbaal' hamara josh-e-talab kya jaane kidhar le jaega
nikle hain talash-e-manzil mein aur rahguzar ma'lum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.