zindagi main kis qadar KHamosh hun
zindagī maiñ kis qadar ḳhāmosh huuñ
bol saktā huuñ magar ḳhāmosh huuñ
aap ne jo keh diyā vo kar diyā
aap ke har hukm par ḳhāmosh huuñ
shor hī bas shor hai us kī taraf
aur tanhā maiñ idhar ḳhāmosh huuñ
tū ne pūchhā bhī nahīñ kyā ho gayā
ek muddat se agar ḳhāmosh huuñ
shāh-zādī tujh se ab maiñ kyā kahūñ
man meñ jo aa.e vo kar ḳhāmosh huuñ
soch lenā tā'na-zan maiñ ab talak
kyuuñ tumhārī zaat par ḳhāmosh huuñ
tujh se Dar kar chup rahā aisā nahīñ
mujh meñ himmat hai magar ḳhāmosh huuñ
ek din us ne kahā ḳhāmosh ho
tab se 'mushtāq' is qadar ḳhāmosh huuñ
zindagi main kis qadar KHamosh hun
bol sakta hun magar KHamosh hun
aap ne jo keh diya wo kar diya
aap ke har hukm par KHamosh hun
shor hi bas shor hai us ki taraf
aur tanha main idhar KHamosh hun
tu ne puchha bhi nahin kya ho gaya
ek muddat se agar KHamosh hun
shah-zadi tujh se ab main kya kahun
man mein jo aae wo kar KHamosh hun
soch lena ta'na-zan main ab talak
kyun tumhaari zat par KHamosh hun
tujh se Dar kar chup raha aisa nahin
mujh mein himmat hai magar KHamosh hun
ek din us ne kaha KHamosh ho
tab se 'mushtaq' is qadar KHamosh hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.