wo nahin mila to malal kya jo guzar gaya so guzar gaya
vo nahīñ milā to malāl kyā jo guzar gayā so guzar gayā
use yaad kar ke na dil dukhā jo guzar gayā so guzar gayā
na gila kiyā na ḳhafā hue yūñhī rāste meñ judā hue
na tū be-vafā na maiñ be-vafā jo guzar gayā so guzar gayā
tujhe e'tibār-o-yaqīñ nahīñ nahīñ duniyā itnī burī nahīñ
na malāl kar mire saath aa jo guzar gayā so guzar gayā
vo ġhazal kī koī kitāb thā vo guloñ meñ koī gulāb thā
zarā der kā koī ḳhvāb thā jo guzar gayā so guzar gayā
mujhe pat-jhaḌoñ kī kahāniyāñ na sunā sunā ke udaas kar
tū ḳhizāñ kā phuul hai muskurā jo guzar gayā so guzar gayā
vo udaas dhuup sameT kar kahīñ vādiyoñ meñ utar chukā
use ab na de mire dil sadā jo guzar gayā so guzar gayā
ye safar bhī kitnā tavīl hai yahāñ vaqt kitnā qalīl hai
kahāñ lauT kar koī aa.egā jo guzar gayā so guzar gayā
koī farq-e-shāh-o-gadā nahīñ ki yahāñ kisī ko baqā nahīñ
ye ujaaḌ mahloñ kī sun sadā jo guzar gayā so guzar gayā
wo nahin mila to malal kya jo guzar gaya so guzar gaya
use yaad kar ke na dil dukha jo guzar gaya so guzar gaya
na gila kiya na KHafa hue yunhi raste mein juda hue
na tu be-wafa na main be-wafa jo guzar gaya so guzar gaya
tujhe e'tibar-o-yaqin nahin nahin duniya itni buri nahin
na malal kar mere sath aa jo guzar gaya so guzar gaya
wo ghazal ki koi kitab tha wo gulon mein koi gulab tha
zara der ka koi KHwab tha jo guzar gaya so guzar gaya
mujhe pat-jhaDon ki kahaniyan na suna suna ke udas kar
tu KHizan ka phul hai muskura jo guzar gaya so guzar gaya
wo udas dhup sameT kar kahin wadiyon mein utar chuka
use ab na de mere dil sada jo guzar gaya so guzar gaya
ye safar bhi kitna tawil hai yahan waqt kitna qalil hai
kahan lauT kar koi aaega jo guzar gaya so guzar gaya
koi farq-e-shah-o-gada nahin ki yahan kisi ko baqa nahin
ye ujaD mahlon ki sun sada jo guzar gaya so guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.