kyunkar ye kahen us zalim ke zulm aur sitam hum sah na sake
kyunkar ye kahen us zalim ke zulm aur sitam hum sah na sake
Dharampal Gupta Wafa Dehlvi
MORE BYDharampal Gupta Wafa Dehlvi
kyūñkar ye kaheñ us zālim ke zulm aur sitam ham sah na sake
lekin lab par uf aa hī ga.ī āḳhir ham chup bhī rah na sake
dil aur zabāñ par qaabū kiyā ulfat kī nazar kyā chhuptī hai
pur-shauq nigāhoñ ne keh dī vo baat jo muñh se keh na sake
'āshiq ko ho matlab sabr se kyā ulfat ko sukūñ se kyā nisbat
haif us kashtī-e-'aql pe jo jazbāt kī rau meñ bah na sake
ashk aate tumhārī āñkhoñ meñ duniyā tah-o-bālā ho jaatī
achchhā hī huā afsāna-e-ġham tum sun na sake ham keh na sake
bīmārī-e-ġham ne vaqt-e-sahar gul kar dī sham'-e-hayāt āḳhir
kyā karte ham insāñ hī to the ranj-e-shab-e-furqat sah na sake
samjhe the bahut kuchh kahnā hai kahne kī bahut sī bāteñ haiñ
vo aa.e bhī aur chal bhī diye kuchh muñh se magar ham keh na sake
dushman ko vafā se kyā nisbat ghabrā.e hue kyuuñ phirte ho
aa jaao hamārī āñkhoñ meñ gar ġhair ke dil meñ rah na sake
tang aa ke tamannāoñ se 'vafā' ab chāhtā huuñ dil meñ apne
koī bhī tamannā aa na sake koī bhī tamannā rah na sake
kyunkar ye kahen us zalim ke zulm aur sitam hum sah na sake
lekin lab par uf aa hi gai aaKHir hum chup bhi rah na sake
dil aur zaban par qabu kiya ulfat ki nazar kya chhupti hai
pur-shauq nigahon ne keh di wo baat jo munh se keh na sake
'ashiq ko ho matlab sabr se kya ulfat ko sukun se kya nisbat
haif us kashti-e-'aql pe jo jazbaat ki rau mein bah na sake
ashk aate tumhaari aankhon mein duniya tah-o-baala ho jati
achchha hi hua afsana-e-gham tum sun na sake hum keh na sake
bimari-e-gham ne waqt-e-sahar gul kar di sham'-e-hayat aaKHir
kya karte hum insan hi to the ranj-e-shab-e-furqat sah na sake
samjhe the bahut kuchh kahna hai kahne ki bahut si baaten hain
wo aae bhi aur chal bhi diye kuchh munh se magar hum keh na sake
dushman ko wafa se kya nisbat ghabrae hue kyun phirte ho
aa jao hamari aankhon mein gar ghair ke dil mein rah na sake
tang aa ke tamannaon se 'wafa' ab chahta hun dil mein apne
koi bhi tamanna aa na sake koi bhi tamanna rah na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.