ahl-e-qalam phanse hain yun ahl-e-karam ke bich
ahl-e-qalam phañse haiñ yuuñ ahl-e-karam ke biich
jaise koī faqīr ho dair-o-haram ke biich
tayyār ho ke aanā tum is kā.ināt meñ
hai kāTnī hayāt yahāñ zer-o-bam ke biich
dhuñdlā har ek ḳhvāb-e-tamannā hai aañkh kā
shāyad nasīb ghus gayā lauh-o-qalam ke biich
kyuuñ haal pūchhte ho mirā kyā batā.ūñ maiñ
maiñ to phañsā paḌā huuñ ḳhudā aur sanam ke biich
taufīq kab milī use fursat kī raat meñ
ye āgahī bhī aa.ī sadā pech-o-ḳham ke biich
'safdar' vo kaise log haiñ aksar tamām 'umr
hañs kar guzār lete haiñ ranj-o-alam ke biich
ahl-e-qalam phanse hain yun ahl-e-karam ke bich
jaise koi faqir ho dair-o-haram ke bich
tayyar ho ke aana tum is kainat mein
hai kaTni hayat yahan zer-o-bam ke bich
dhundla har ek KHwab-e-tamanna hai aankh ka
shayad nasib ghus gaya lauh-o-qalam ke bich
kyun haal puchhte ho mera kya bataun main
main to phansa paDa hun KHuda aur sanam ke bich
taufiq kab mili use fursat ki raat mein
ye aagahi bhi aai sada pech-o-KHam ke bich
'safdar' wo kaise log hain aksar tamam 'umr
hans kar guzar lete hain ranj-o-alam ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.