aadam ki KHataon ki saza kaT rahe hain
aadam kī ḳhatāoñ kī sazā kaaT rahe haiñ
sab apne nasīboñ kā likhā kaaT rahe haiñ
mahshar meñ mile daad yahī soch ke ham bhī
kis sabr se duniyā kī sazā kaaT rahe haiñ
kis haal ko pahuñche haiñ tabīboñ ke hunar ab
ḳhud apne hī nusḳhe se davā kaaT rahe haiñ
ik aap ne hangāma-e-mahshar hai uThāyā
ik ham haiñ jo chup-chāp sazā kaaT rahe haiñ
aadam ki KHataon ki saza kaT rahe hain
sab apne nasibon ka likha kaT rahe hain
mahshar mein mile dad yahi soch ke hum bhi
kis sabr se duniya ki saza kaT rahe hain
kis haal ko pahunche hain tabibon ke hunar ab
KHud apne hi nusKHe se dawa kaT rahe hain
ek aap ne hangama-e-mahshar hai uThaya
ek hum hain jo chup-chap saza kaT rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.