Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna dukhDa suna ke dekh liya

Taqi Abedi

apna dukhDa suna ke dekh liya

Taqi Abedi

MORE BYTaqi Abedi

    apnā dukhḌā sunā ke dekh liyā

    jag ko ḳhud par hañsā ke dekh liyā

    bin hamāre ujaaḌ thī mahfil

    us ne sab ko bulā ke dekh liyā

    'ishq kā dard kam nahīñ hotā

    har davā aazmā ke dekh liyā

    zinda dargor kis ko kahte haiñ

    ghar pe taḳhtī lagā ke dekh liyā

    dil ke dāġhoñ se bazm raushan thī

    us ne sham'eñ bujhā ke dekh liyā

    jis ko dā'vā thā rāz-dārī kā

    raaz apnā sunā ke dekh liyā

    dushmanī un ke dil meñ kitnī thī

    dost un ko banā ke dekh liyā

    bijliyāñ kitnī past hotī haiñ

    ik nasheman banā ke dekh liyā

    kis ko kahte haiñ jashn-e-rusvā.ī

    terī mahfil meñ aa ke dekh liyā

    ham se kitnī unheñ mohabbat thī

    un ke dil meñ samā ke dekh liyā

    dard-e-sar to 'taqī' bahāna thā

    tum ne sar ko dabā ke dekh liyā

    apna dukhDa suna ke dekh liya

    jag ko KHud par hansa ke dekh liya

    bin hamare ujaD thi mahfil

    us ne sab ko bula ke dekh liya

    'ishq ka dard kam nahin hota

    har dawa aazma ke dekh liya

    zinda dargor kis ko kahte hain

    ghar pe taKHti laga ke dekh liya

    dil ke daghon se bazm raushan thi

    us ne sham'en bujha ke dekh liya

    jis ko da'wa tha raaz-dari ka

    raaz apna suna ke dekh liya

    dushmani un ke dil mein kitni thi

    dost un ko bana ke dekh liya

    bijliyan kitni past hoti hain

    ek nasheman bana ke dekh liya

    kis ko kahte hain jashn-e-ruswai

    teri mahfil mein aa ke dekh liya

    hum se kitni unhen mohabbat thi

    un ke dil mein sama ke dekh liya

    dard-e-sar to 'taqi' bahana tha

    tum ne sar ko daba ke dekh liya

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now