husn walon ka ehtiram karo
husn vāloñ kā ehtirām karo
kuchh to duniyā meñ nek kaam karo
shaiḳh aa.e haiñ bā-vuzū ho kar
un ke piine kā intizām karo
abhī barseñge har taraf jalve
tum nigāhoñ kā ehtimām karo
zindagī muḳhtasar sahī is ko
vaqf-e-mīnā-o-mai-o-jām karo
log Darne lage gunāhoñ se
bārish-e-rahmat-e-tamām karo
shaiḳh ko mai-kade meñ laao 'sahar'
kuchh to duniyā meñ nek kaam karo
husn walon ka ehtiram karo
kuchh to duniya mein nek kaam karo
shaiKH aae hain ba-wuzu ho kar
un ke pine ka intizam karo
abhi barsenge har taraf jalwe
tum nigahon ka ehtimam karo
zindagi muKHtasar sahi is ko
waqf-e-mina-o-mai-o-jam karo
log Darne lage gunahon se
barish-e-rahmat-e-tamam karo
shaiKH ko mai-kade mein lao 'sahar'
kuchh to duniya mein nek kaam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.