Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use kaho ki mohabbat ko tol kar dekhe

Harshvardhan Singh

use kaho ki mohabbat ko tol kar dekhe

Harshvardhan Singh

MORE BYHarshvardhan Singh

    use kaho ki mohabbat ko tol kar dekhe

    nazar milā.e kabhī dil TaTol kar dekhe

    nahīñ tikeñge marāsim sapāT hāthoñ par

    hatheliyoñ ko zarā apnī gol kar dekhe

    vo jis ne aañkh 'atā kī hai 'ain-mumkin hai

    vo ek roz hameñ aañkh khol kar dekhe

    ham aisoñ se nahīñ hotā ki dekh kar boleñ

    yaqīñ nahīñ to koī ham se bol kar dekhe

    kabhī vo samjhe na milnā hī kyuuñ zarūrī thā

    kabhī vo ret ko paanī meñ ghol kar dekhe

    use kaho ki mohabbat ko tol kar dekhe

    nazar milae kabhi dil TaTol kar dekhe

    nahin tikenge marasim sapaT hathon par

    hatheliyon ko zara apni gol kar dekhe

    wo jis ne aankh 'ata ki hai 'ain-mumkin hai

    wo ek roz hamein aankh khol kar dekhe

    hum aison se nahin hota ki dekh kar bolen

    yaqin nahin to koi hum se bol kar dekhe

    kabhi wo samjhe na milna hi kyun zaruri tha

    kabhi wo ret ko pani mein ghol kar dekhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now