Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani

Arzoo Lakhnavi

ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani

Arzoo Lakhnavi

Interesting Fact

The Ghazal is free of Arabic and Persian words

ras un āñkhoñ hai kahne ko zarā paanī

saiñkaḌoñ Duub ga.e phir bhī hai itnā paanī

aañkh se bah nahīñ saktā hai bharam paanī

phuuT bhī jā.egā chhālā to na degā paanī

chaah meñ pā.ūñ kahāñ aas mīThā paanī

pyaas bhaḌkī huī hai aur nahīñ miltā paanī

dil se laukā jo uThā aañkh se Tapkā paanī

aag se aaj nikalte hue dekhā paanī

kis ne bhīge hue bāloñ se ye jhaTkā paanī

jhuum kar aa.ī ghaTā TuuT ke barsā paanī

phailtī dhuup hai ruup laḌakpan uThān

dopahar Dhalte utregā ye chaḌhtā paanī

TikTikī bāñdhe vo takte haiñ maiñ is ghaat meñ huuñ

kahīñ khāne lage chakkar na ye Thahrā paanī

koī matvālī ghaTā thī ki javānī umañg

bahā le gayā barsāt pahlā paanī

haath jal jā.egā chhālā na kaleje chhuo

aag muTThī meñ dabī hai na samajhnā paanī

ras ras jin meñ hai phir sail zarā bhī nahīñ

māñgtā hai kahīñ un āñkhoñ maarā paanī

na satā us ko jo chup rah ke bhare ThanDī saañs

ye havā kartī hai patthar kaleja paanī

ye pasīna vahī aañsū haiñ jo jaate the ham

'ārzū' lo vo khulā bhed vo TuuTā paanī

ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani

sainkaDon Dub gae phir bhi hai itna pani

aankh se bah nahin sakta hai bharam ka pani

phuT bhi jaega chhaala to na dega pani

chah mein paun kahan aas ka miTha pani

pyas bhaDki hui hai aur nahin milta pani

dil se lauka jo uTha aankh se Tapka pani

aag se aaj nikalte hue dekha pani

kis ne bhige hue baalon se ye jhaTka pani

jhum kar aai ghaTa TuT ke barsa pani

phailti dhup ka hai rup laDakpan ka uThan

dopahar Dhalte hi utrega ye chaDhta pani

TikTiki bandhe wo takte hain main is ghat mein hun

kahin khane lage chakkar na ye Thahra pani

koi matwali ghaTa thi ki jawani ki umang

ji baha le gaya barsat ka pahla pani

hath jal jaega chhaala na kaleje ka chhuo

aag muTThi mein dabi hai na samajhna pani

ras hi ras jin mein hai phir sail zara si bhi nahin

mangta hai kahin un aankhon ka mara pani

na sata us ko jo chup rah ke bhare ThanDi sans

ye hawa karti hai patthar ka kaleja pani

ye pasina wahi aansu hain jo pi jate the hum

'arzu' lo wo khula bhed wo TuTa pani

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Pankaj Udhas

Pankaj Udhas

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 36)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now