sukut-e-shab se ajab mashghala nikalta hai
sukut-e-shab se ajab mashghala nikalta hai
Muhammad Asad Ali Warraich
MORE BYMuhammad Asad Ali Warraich
sukūt-e-shab se 'ajab mashġhala nikaltā hai
maiñ tujh ko DhūñDūñ to apnā patā nikaltā hai
umīd-e-vasl meñ sho'le hī haath aa.e haiñ
diye ko chheḌo to bas marsiya nikaltā hai
kitāb kholūñ jo maiñ apne talḳh maazī kī
har ik varaq se nayā hādsa nikaltā hai
'ajīb moḌ pe laa.ī hai ye masāfat-e-dil
jahāñ se jaao vahīñ rāsta nikaltā hai
maiñ chup rahūñ to sulagtī hai ḳhāmushī merī
jo lab hilā.ūñ to phir marsiya nikaltā hai
parakh rahā hai mujhe vo ka.ī zamānoñ se
har ek baar nayā mas.ala nikaltā hai
'ajīb shor hai yādoñ kī is havelī meñ
ḳhamoshiyoñ se bhī ik qahqaha nikaltā hai
ye merī aañkh ke sahrā kī pyaas hai shāyad
ki har sarāb se ik rāsta nikaltā hai
sukut-e-shab se 'ajab mashghala nikalta hai
main tujh ko DhunDun to apna pata nikalta hai
umid-e-wasl mein sho'le hi hath aae hain
diye ko chheDo to bas marsiya nikalta hai
kitab kholun jo main apne talKH mazi ki
har ek waraq se naya hadsa nikalta hai
'ajib moD pe lai hai ye masafat-e-dil
jahan se jao wahin rasta nikalta hai
main chup rahun to sulagti hai KHamushi meri
jo lab hilaun to phir marsiya nikalta hai
parakh raha hai mujhe wo kai zamanon se
har ek bar naya masala nikalta hai
'ajib shor hai yaadon ki is haweli mein
KHamoshiyon se bhi ek qahqaha nikalta hai
ye meri aankh ke sahra ki pyas hai shayad
ki har sarab se ek rasta nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.