Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhaDakta jata hai dil muskurane walon ka

Kaleem Aajiz

dhaDakta jata hai dil muskurane walon ka

Kaleem Aajiz

dhaḌaktā jaatā hai dil muskurāne vāloñ

uThā nahīñ hai abhī e'tibār nāloñ

ye muḳhtasar hai rūdād-e-sub.h-e-mai-ḳhana

zamīñ pe Dher thā TuuTe hue piyāloñ

ye ḳhauf hai ki sabā laḌkhaḌā ke gir na paḌe

payām le ke chalī hai shikasta-hāloñ

na aa.eñ ahl-e-ḳhirad vādī-e-junūñ taraf

yahāñ guzar nahīñ dāman bachāne vāloñ

lipaT lipaT ke gale mil rahe the ḳhanjar se

baḌe ġhazab kaleja thā marne vāloñ

dhaDakta jata hai dil muskurane walon ka

uTha nahin hai abhi e'tibar nalon ka

ye muKHtasar si hai rudad-e-subh-e-mai-KHana

zamin pe Dher tha TuTe hue piyalon ka

ye KHauf hai ki saba laDkhaDa ke gir na paDe

payam le ke chali hai shikasta-haalon ka

na aaen ahl-e-KHirad wadi-e-junun ki taraf

yahan guzar nahin daman bachane walon ka

lipaT lipaT ke gale mil rahe the KHanjar se

baDe ghazab ka kaleja tha marne walon ka

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now