thalon mein chashma-e-barfab ki tarah hun main
thaloñ meñ chashma-e-barfāb kī tarah huuñ maiñ
ḳhud apne vāste ik ḳhvāb kī tarah huuñ maiñ
nikal chukā huuñ maiñ tujh se magar mire dariyā
ab ek māhī-e-be-āb kī tarah huuñ maiñ
mire baġhair tashaḳhḳhus tirā bhī hai mashkūk
tū lafz hai tire e'rāb kī tarah huuñ maiñ
ḳhush-āmdīd baġhair imtiyāz-e-nasl-o-zabāñ
mizāj-e-ḳhitta-e-punjab kī tarah huuñ maiñ
koī bhī shakl ho maiñ raushnī bikhertā huuñ
kabhī diye kabhī mehrāb kī tarah huuñ maiñ
mujhe girift meñ rakh mujh ko chāhne vaale
tū jāntā hai ki sīmāb kī tarah huuñ maiñ
raqīb paḌh na sakegā tirī kitāb-e-hayāt
ki us meñ ek hasīñ baab kī tarah huuñ maiñ
mujhe bhī yaad hai bachpan kī ranjishoñ kī tarah
vo shaḳhs jis ke liye ḳhvāb kī tarah huuñ maiñ
'zahīr' vo mirī ik lahr ko taras rahe haiñ
jinheñ gila thā ki sailāb kī tarah huuñ maiñ
thalon mein chashma-e-barfab ki tarah hun main
KHud apne waste ek KHwab ki tarah hun main
nikal chuka hun main tujh se magar mere dariya
ab ek mahi-e-be-ab ki tarah hun main
mere baghair tashaKHKHus tera bhi hai mashkuk
tu lafz hai tere e'rab ki tarah hun main
KHush-amdid baghair imtiyaz-e-nasl-o-zaban
mizaj-e-KHitta-e-punjab ki tarah hun main
koi bhi shakl ho main raushni bikherta hun
kabhi diye kabhi mehrab ki tarah hun main
mujhe girift mein rakh mujh ko chahne wale
tu jaanta hai ki simab ki tarah hun main
raqib paDh na sakega teri kitab-e-hayat
ki us mein ek hasin bab ki tarah hun main
mujhe bhi yaad hai bachpan ki ranjishon ki tarah
wo shaKHs jis ke liye KHwab ki tarah hun main
'zahir' wo meri ek lahr ko taras rahe hain
jinhen gila tha ki sailab ki tarah hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.