kuchh is KHulus se usne mujhe diya pani
kuchh is ḳhulūs se us ne mujhe diyā paanī
ki baar baar maiñ bas māñgtā rahā paanī
kisī ke Dol uThāne kī laaj rakhnī paḌī
agarche pyaas nahīñ thī magar piyā paanī
hamārā puurā utarnā bhī rā.egāñ hī gayā
kisī ne paaoñ Dubo.e to ḳhush huā paanī
har ek kaam mirī soch ke ḳhilāf huā
ki maiñ ne aag jalā.ī baras paḌā paanī
vo shaḳhs ret ke Tīloñ se kyā gila kartā
ki jis ko bar-sar-e-dariyā nahīñ milā paanī
kisī ko yaad nahīñ hai hamārā husn-e-sulūk
vo nek kaam thā aur us pe bah chukā paanī
namak kā daur purānā hai kuchh nayā kiije
leñ mere zaḳhm pe Dāleñ ye khaultā paanī
kisī kā saath bhī honā bahut zarūrī hai
barā-e-zindagī kaafī nahīñ havā paanī
hamāre zabt kī tauhīn ho ga.ī 'kāshif'
hudūd-e-chashm se aage nikal gayā paanī
kuchh is KHulus se us ne mujhe diya pani
ki bar bar main bas mangta raha pani
kisi ke Dol uThane ki laj rakhni paDi
agarche pyas nahin thi magar piya pani
hamara pura utarna bhi raegan hi gaya
kisi ne paon Duboe to KHush hua pani
har ek kaam meri soch ke KHilaf hua
ki main ne aag jalai baras paDa pani
wo shaKHs ret ke Tilon se kya gila karta
ki jis ko bar-sar-e-dariya nahin mila pani
kisi ko yaad nahin hai hamara husn-e-suluk
wo nek kaam tha aur us pe bah chuka pani
namak ka daur purana hai kuchh naya kije
len mere zaKHm pe Dalen ye khaulta pani
kisi ka sath bhi hona bahut zaruri hai
bara-e-zindagi kafi nahin hawa pani
hamare zabt ki tauhin ho gai 'kashif'
hudud-e-chashm se aage nikal gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.