har ek gham ka mujhe aise dil dukhana hai
har ek ġham kā mujhe aise dil dukhānā hai
udāsiyoñ meñ bhī ab qahqaha lagānā hai
hazār ḳhvāhisheñ bachchoñ kī jeb hai ḳhālī
maiñ baap huuñ mujhe ghar lauT kar bhī jaanā hai
udhār lī jo mohabbat to kyā huā hāsil
vafā kī raah meñ ḳhud ko bahut jalānā hai
bas apne aap ko dekho to ye kahoge nahīñ
bahut burā hai magar kyā burā zamāna hai
gale lagātā bhalā ham se muflisoñ ko kahāñ
galī meñ us kī to shāhoñ kā aanā jaanā hai
har ek gham ka mujhe aise dil dukhana hai
udasiyon mein bhi ab qahqaha lagana hai
hazar KHwahishen bachchon ki jeb hai KHali
main bap hun mujhe ghar lauT kar bhi jaana hai
udhaar li jo mohabbat to kya hua hasil
wafa ki rah mein KHud ko bahut jalana hai
bas apne aap ko dekho to ye kahoge nahin
bahut bura hai magar kya bura zamana hai
gale lagata bhala hum se muflison ko kahan
gali mein us ki to shahon ka aana jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.