mujhe naql par bhi itna agar iKHtiyar hota
mujhe naql par bhī itnā agar iḳhtiyār hotā
kabhī fail imtihāñ meñ na maiñ baar baar hotā
jo maiñ fail ho gayā to sabhī de rahe haiñ ta.ane
koī dil-navāz hotā koī ġham-gusār hotā
mujhe aaj itnī nafrat se na dekhtī ye duniyā
jo paḌhā.ī se zarā bhī mire dil ko pyaar hotā
mire master na hote jo ulūm-o-fan meñ daanā
kabhī maulā-baḳhsh-sāhab kā na maiñ shikār hotā
vo paḌhāte vaqt darje meñ hazār baar barse
jo mujhe bhī chhī.k aatī unheñ nāgavār hotā
na maiñ tandurust hotā na kabhī schōl jaatā
kabhī sar meñ dard rahtā to kabhī buḳhār hotā
kabhī madrase meñ aatā koī aisā chaaT vaalā
ki jo muft meñ khilātā na kabhī udhār hotā
ye gadhā jo apnī ġhaflat se hai bevaqūf itnā
jo ye ḳhud ko jaan jaatā baḌā hoshiyār hotā
tire ghar meñ 'kaif' terā koī qadr-dāñ nahīñ hai
jo vatan se duur hotā to baḌā vaqār hotā
mujhe naql par bhi itna agar iKHtiyar hota
kabhi fail imtihan mein na main bar bar hota
jo main fail ho gaya to sabhi de rahe hain tane
koi dil-nawaz hota koi gham-gusar hota
mujhe aaj itni nafrat se na dekhti ye duniya
jo paDhai se zara bhi mere dil ko pyar hota
mere master na hote jo ulum-o-fan mein dana
kabhi maula-baKHsh-sahab ka na main shikar hota
wo paDhate waqt darje mein hazar bar barse
jo mujhe bhi chhik aati unhen nagawar hota
na main tandurust hota na kabhi school jata
kabhi sar mein dard rahta to kabhi buKHar hota
kabhi madrase mein aata koi aisa chaT wala
ki jo muft mein khilata na kabhi udhaar hota
ye gadha jo apni ghaflat se hai bewaquf itna
jo ye KHud ko jaan jata baDa hoshiyar hota
tere ghar mein 'kaif' tera koi qadr-dan nahin hai
jo watan se dur hota to baDa waqar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.