aap ke maktab mein aa ke ro diye
aap ke maktab meñ aa ke ro diye
maar us DanDe kī khā ke ro diye
muñh dikhā ke rone meñ aa.ī jo sharm
tauliye meñ muñh chhupā ke ro diye
ro.eñ tanhā ye nahīñ bhātā hameñ
chaar chhe ko ham rulā ke ro diye
be-sabab rone ko jo chāhā kabhī
pyaaz kā bhartā banā ke ro diye
jis ghaḌī daddy ne maarā chup rahe
sāmne ammī ke aa ke ro diye
jaise muñh meñ rakh liyā sho.ala koī
paan meñ chūnā lagā ke ro diye
pāñch ko paḌhne lage ab kāñch vo
master ainak gañvā ke ro diye
dī sazā choroñ ko allah paak ne
juute masjid meñ churā ke ro diye
aap ke maktab mein aa ke ro diye
mar us DanDe ki kha ke ro diye
munh dikha ke rone mein aai jo sharm
tauliye mein munh chhupa ke ro diye
roen tanha ye nahin bhata hamein
chaar chhe ko hum rula ke ro diye
be-sabab rone ko jo chaha kabhi
pyaz ka bharta bana ke ro diye
jis ghaDi daddy ne mara chup rahe
samne ammi ke aa ke ro diye
jaise munh mein rakh liya shoala koi
pan mein chuna laga ke ro diye
panch ko paDhne lage ab kanch wo
master ainak ganwa ke ro diye
di saza choron ko allah pak ne
jute masjid mein chura ke ro diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.