aatish-e-jaan se bachte bachte apne soz mein jal jaana
ātish-e-jāñ se bachte bachte apne soz meñ jal jaanā
apne soz meñ jal jaanā hī maiñ ne apnā hal jaanā
jaate jaate mujh ko kisī ne tambīhan paiġhām diyā
apnā aap sañbhālā karnā apne aap sañbhal jaanā
itnī raat ga.e aa.ī ho baiTho nā kuchh baat karo
yād-nagar to jhaT pahuñchogī aisā karnā kal jaanā
muddat baa'd samajh aayā ki dhuñdlāyā kyuuñ ik manzar
har raushan sūraj ko āḳhir ik din to hai Dhal jaanā
mere shauq meñ ek zarā bhī tum ko khoT nazar aa.e
e'lānan phir jhūTā kahnā muñh par kālak mal jaanā
choT lage to dard kī shiddat kam kam yuuñ mahsūs karo
maiñ ne sab ko ghāyal paayā jis jis ko pāgal jaanā
soch samajh kar lapkā karnā har sho'le kī jānib tum
mujh ko ḳhīra kar baiThā vo jis ko bhī mash'al jaanā
aatish-e-jaan se bachte bachte apne soz mein jal jaana
apne soz mein jal jaana hi main ne apna hal jaana
jate jate mujh ko kisi ne tambihan paigham diya
apna aap sanbhaala karna apne aap sanbhal jaana
itni raat gae aai ho baiTho na kuchh baat karo
yaad-nagar to jhaT pahunchogi aisa karna kal jaana
muddat ba'd samajh aaya ki dhundlaya kyun ek manzar
har raushan suraj ko aaKHir ek din to hai Dhal jaana
mere shauq mein ek zara bhi tum ko khoT nazar aae
e'lanan phir jhuTa kahna munh par kalak mal jaana
choT lage to dard ki shiddat kam kam yun mahsus karo
main ne sab ko ghayal paya jis jis ko pagal jaana
soch samajh kar lapka karna har sho'le ki jaanib tum
mujh ko KHira kar baiTha wo jis ko bhi mash'al jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.