Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo zahid par ayan raaz-e-darun-e-KHana ho jae

Asar Lakhnavi

jo zahid par ayan raaz-e-darun-e-KHana ho jae

Asar Lakhnavi

MORE BYAsar Lakhnavi

    jo zāhid par 'ayāñ rāz-e-darūn-e-ḳhāna ho jaa.e

    ye āvezish haram aur dair kī afsāna ho jaa.e

    agar ā.īna-e-hairat dil-e-dīvāna ho jaa.e

    nazāra dām-gāh-e-jalva-e-begāna ho jaa.e

    mujhī par ik nahīñ mauqūf taare hoñ ki mah-pāre

    jise tum aañkh bhar kar dekh lo dīvāna ho jaa.e

    yahī anjām-e-ulfat hai yahī me’rāj-e-ulfat hai

    kinār-e-sham'-e-sozāñ manzil-e-parvāna ho jaa.e

    baḌī mushkil se miltā hai baḌī kāvish se miltā hai

    dil aisā dil jise ġham se tire yārāna ho jaa.e

    udāsī har taraf chhā.ī huī hai yās-o-hirmāñ kī

    koī hangāma phir ai himmat-e-mardāna ho jaa.e

    na karnā chāhiye jo kuchh vo karnā aur phir Darnā

    kahīñ aisā na ho jaa.e kahīñ aisā na ho jaa.e

    'asar' ik vahm-e-bātil hai haqīqat-āshnā honā

    ḳhayāl-e-ġhair se jab tak na dil begāna ho jaa.e

    jo zahid par 'ayan raaz-e-darun-e-KHana ho jae

    ye aawezish haram aur dair ki afsana ho jae

    agar aaina-e-hairat dil-e-diwana ho jae

    nazara dam-gah-e-jalwa-e-begana ho jae

    mujhi par ek nahin mauquf tare hon ki mah-pare

    jise tum aankh bhar kar dekh lo diwana ho jae

    yahi anjam-e-ulfat hai yahi me’raj-e-ulfat hai

    kinar-e-sham'-e-sozan manzil-e-parwana ho jae

    baDi mushkil se milta hai baDi kawish se milta hai

    dil aisa dil jise gham se tere yarana ho jae

    udasi har taraf chhai hui hai yas-o-hirman ki

    koi hangama phir ai himmat-e-mardana ho jae

    na karna chahiye jo kuchh wo karna aur phir Darna

    kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae

    'asar' ek wahm-e-baatil hai haqiqat-ashna hona

    KHayal-e-ghair se jab tak na dil begana ho jae

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now