zindagi KHak na thi KHak uDate guzri
Interesting Fact
Drama: Zindagi Gulzar Hai-2012
zindagī ḳhaak na thī ḳhaak uḌāte guzrī
tujh se kyā kahte tire paas jo aate guzrī
din jo guzrā to kisī yaad kī rau meñ guzrā
shaam aa.ī to koī ḳhvāb dikhāte guzrī
achchhe vaqtoñ kī tamannā meñ rahī 'umr-e-ravāñ
vaqt aisā thā ki bas naaz uThāte guzrī
zindagī jis ke muqaddar meñ ho ḳhushiyāñ terī
us ko aatā hai nibhānā so nibhāte guzrī
zindagī naam udhar hai kisī sarshārī kā
aur idhar duur se ik aas lagāte guzrī
raat kyā aa.ī ki tanhā.ī kī sargoshī meñ
hū kā 'ālam thā magar sunte sunāte guzrī
bārhā chauñk sī jaatī hai masāfat dil kī
kis kī āvāz thī ye kis ko bulāte guzrī
zindagi KHak na thi KHak uDate guzri
tujh se kya kahte tere pas jo aate guzri
din jo guzra to kisi yaad ki rau mein guzra
sham aai to koi KHwab dikhate guzri
achchhe waqton ki tamanna mein rahi 'umr-e-rawan
waqt aisa tha ki bas naz uThate guzri
zindagi jis ke muqaddar mein ho KHushiyan teri
us ko aata hai nibhana so nibhate guzri
zindagi nam udhar hai kisi sarshaari ka
aur idhar dur se ek aas lagate guzri
raat kya aai ki tanhai ki sargoshi mein
hu ka 'alam tha magar sunte sunate guzri
barha chaunk si jati hai masafat dil ki
kis ki aawaz thi ye kis ko bulate guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.