Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

o dil toD ke jaane wale dil ki baat batata ja

Hafeez Jalandhari

o dil toD ke jaane wale dil ki baat batata ja

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    o dil toḌ ke jaane vaale dil baat batātā

    ab maiñ dil ko kyā samjhā.ūñ mujh ko bhī samjhātā

    haañ mere majrūh tabassum ḳhushk laboñ tak aatā

    phuul hast-o-būd yahī hai khiltā murjhātā

    merī chup rahne aadat jis kāran bad-nām huī

    ab vo hikāyat aam huī hai suntā sharmātā

    ye dukh-dard barkhā bande den hai tere daatā

    shukr-e-ne.amat bhī kartā dāman bhī phailātā

    jiine armān karūñ marne sāmān karūñ

    ishq meñ kyā hotā hai nāseh aql baat sujhātā

    tujh ko abr-ālūd dinoñ se kaam na chāñdnī rātoñ se

    bahlātā hai bātoñ se bahlātā bahlātā

    donoñ sañg-e-rāh-e-talab haiñ rāh-numā bhī manzil bhī

    zauq-e-talab har ek qadam par donoñ ko Thukrātā

    naġhme se jab phuul khileñge chunñe vaale chun leñge

    sunñe vaale sun leñge apnī dhun meñ gaatā

    āḳhir tujh ko bhī maut aa.ī ḳhair 'hafīz' ḳhudā-hāfiz

    lekin marte marte pyāre vaj.h-e-marg batātā

    o dil toD ke jaane wale dil ki baat batata ja

    ab main dil ko kya samjhaun mujh ko bhi samjhata ja

    han mere majruh tabassum KHushk labon tak aata ja

    phul ki hast-o-bud yahi hai khilta ja murjhata ja

    meri chup rahne ki aadat jis karan bad-nam hui

    ab wo hikayat aam hui hai sunta ja sharmata ja

    ye dukh-dard ki barkha bande den hai tere data ki

    shukr-e-neamat bhi karta ja daman bhi phailata ja

    jine ka arman karun ya marne ka saman karun

    ishq mein kya hota hai naseh aql ki baat sujhata ja

    tujh ko abr-alud dinon se kaam na chandni raaton se

    bahlata hai baaton se bahlata ja bahlata ja

    donon sang-e-rah-e-talab hain rah-numa bhi manzil bhi

    zauq-e-talab har ek qadam par donon ko Thukraata ja

    naghme se jab phul khilenge chunne wale chun lenge

    sunne wale sun lenge tu apni dhun mein gata ja

    aaKHir tujh ko bhi maut aai KHair 'hafiz' KHuda-hafiz

    lekin marte marte pyare wajh-e-marg batata ja

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Saira Naseem

    Saira Naseem

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 434)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now