wo mujassam meri nigah mein hai
vo mujassam mirī nigāh meñ hai
ik jhalak jis kī mehr-o-māh meñ hai
kyā kashish husn-e-be-panāh meñ hai
jo qadam hai usī kī raah meñ hai
mai-kade meñ na ḳhānqāh meñ hai
merī jannat tirī nigāh meñ hai
paa.e vo rāz-e-ġham ki jo ab tak
mire dil meñ tirī nigāh meñ hai
Dagmagāne lage haiñ pā-e-talab
dil abhī ibtidā-e-rāh meñ hai
'ishq meñ kaisī manzil-e-maqsūd
vo bhī ik gard hai jo raah meñ hai
mere pindār-e-‘ishq par mat jā
ye adā nāz-e-gāh-gāh meñ hai
naqsh-e-hairat hai aaj husn bhī ḳhud
kaun ye 'ishq kī nigāh meñ hai
mastī-e-chashm-e-yār kyā kahiye
mai to kyā mai-kada nigāh meñ hai
allah allāh ittihād-e-mazāq
'ālam-e-dil bhī ab nigāh meñ hai
husn ko bhī kahāñ nasīb 'jigar'
vo jo ik shai mirī nigāh meñ hai
wo mujassam meri nigah mein hai
ek jhalak jis ki mehr-o-mah mein hai
kya kashish husn-e-be-panah mein hai
jo qadam hai usi ki rah mein hai
mai-kade mein na KHanqah mein hai
meri jannat teri nigah mein hai
pae wo raaz-e-gham ki jo ab tak
mere dil mein teri nigah mein hai
Dagmagane lage hain pa-e-talab
dil abhi ibtida-e-rah mein hai
'ishq mein kaisi manzil-e-maqsud
wo bhi ek gard hai jo rah mein hai
mere pindar-e-‘ishq par mat ja
ye ada naz-e-gah-gah mein hai
naqsh-e-hairat hai aaj husn bhi KHud
kaun ye 'ishq ki nigah mein hai
masti-e-chashm-e-yar kya kahiye
mai to kya mai-kada nigah mein hai
allah allah ittihad-e-mazaq
'alam-e-dil bhi ab nigah mein hai
husn ko bhi kahan nasib 'jigar'
wo jo ek shai meri nigah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.