samar girye ke mat dena dukhon ke bij mat bona
samar girye ke mat denā dukhoñ ke biij mat bonā
ai bāġh-e-ḳhalq ke maalī hamārī baat sun lo nā
na koī ḳhush-numā ham sā na koī ġham-zada ham sā
yahāñ ġham kyā ḳhushī kyā hai hañsī kyā aur kyā ronā
basar auqāt karnā hai asar kī zad se bāhar aa
jise dil se utaar aayā use ab sar pe kyā Dhonā
miDās aa.e ga.e kitne magar tere muqābil kaun
chhuā tū ne nigāhoñ se to merā dil huā suunā
ḳhalā ḳhud meñ sameTe ho na-jāne kitne imkānāt
jahāñ kuchh bhī nahīñ hai bas vahīñ mumkin hai kuchh honā
samar girye ke mat dena dukhon ke bij mat bona
ai bagh-e-KHalq ke mali hamari baat sun lo na
na koi KHush-numa hum sa na koi gham-zada hum sa
yahan gham kya KHushi kya hai hansi kya aur kya rona
basar auqat karna hai asar ki zad se bahar aa
jise dil se utar aaya use ab sar pe kya Dhona
miDas aae gae kitne magar tere muqabil kaun
chhua tu ne nigahon se to mera dil hua suna
KHala KHud mein sameTe ho na-jaane kitne imkanat
jahan kuchh bhi nahin hai bas wahin mumkin hai kuchh hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.