nazar se husn-e-do-alam gira diya tu ne
nazar se husn-e-do-'ālam girā diyā tū ne
na jaane kaun sā 'ālam dikhā diyā tū ne
javāb-e-husn-e-talab aur kyā diyā tū ne
tamām shukr-o-shikāyat banā diyā tū ne
fanā-e-‘ishq ko rang-e-baqā diyā tū ne
hayāt-o-maut ko yakjā dikhā diyā tū ne
jamāl-e-husn kī halkī sī lahr dauḌā kar
nafas nafas ko mire jagmagā diyā tū ne
hazār dil ko miTā kar diyā mujhe ik dard
us ek dard ko phir dil banā diyā tū ne
nigāh Daal ke merī tamām hastī par
mujhe tamām mohabbat banā diyā tū ne
har ek dil ko 'atā kar ke mudda’ā-e-hayāt
'jigar' ko ik dil-e-be-mudda'ā diyā tū ne
nazar se husn-e-do-'alam gira diya tu ne
na jaane kaun sa 'alam dikha diya tu ne
jawab-e-husn-e-talab aur kya diya tu ne
tamam shukr-o-shikayat bana diya tu ne
fana-e-‘ishq ko rang-e-baqa diya tu ne
hayat-o-maut ko yakja dikha diya tu ne
jamal-e-husn ki halki si lahr dauDa kar
nafas nafas ko mere jagmaga diya tu ne
hazar dil ko miTa kar diya mujhe ek dard
us ek dard ko phir dil bana diya tu ne
nigah Dal ke meri tamam hasti par
mujhe tamam mohabbat bana diya tu ne
har ek dil ko 'ata kar ke mudda’a-e-hayat
'jigar' ko ek dil-e-be-mudda'a diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.