ajab ek be-suburi rah gai hai
'ajab ik be-subūrī rah ga.ī hai
koī ḳhvāhish adhūrī rah ga.ī hai
zarūrī jo nahīñ thī baat keh dī
jo kahnī thī vo puurī rah ga.ī hai
vo shāh-e-misr aayā bhī to aise
nigāhoñ meñ be-nūrī rah ga.ī hai
safar anjām tak pohñchā nahīñ hai
qadam kī bas ye duurī rah ga.ī hai
zamāne kī to sab rasmeñ nibhā.īñ
tumhārī jī-huzūrī rah ga.ī hai
jo kahnā thā vo lab tak aa na paayā
ḳhalish bas ye zarūrī rah ga.ī hai
bichhaḌ kar tujh se bhī 'ambar' tirī hai
ye majbūrī shu'ūrī rah ga.ī hai
'ajab ek be-suburi rah gai hai
koi KHwahish adhuri rah gai hai
zaruri jo nahin thi baat keh di
jo kahni thi wo puri rah gai hai
wo shah-e-misr aaya bhi to aise
nigahon mein be-nuri rah gai hai
safar anjam tak pohncha nahin hai
qadam ki bas ye duri rah gai hai
zamane ki to sab rasmen nibhain
tumhaari ji-huzuri rah gai hai
jo kahna tha wo lab tak aa na paya
KHalish bas ye zaruri rah gai hai
bichhaD kar tujh se bhi 'ambar' teri hai
ye majburi shu'uri rah gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.