Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu ki tarah dil mein samaenge kisi din

Taqi Abedi

KHushbu ki tarah dil mein samaenge kisi din

Taqi Abedi

MORE BYTaqi Abedi

    ḳhushbū kī tarah dil meñ samā.eñge kisī din

    naġhme mire lab par tire ā.eñge kisī din

    insāf tirā dekhne ai husn-e-jahāñgīr

    ham 'adl kī zanjīr hilā.eñge kisī din

    ye soch ke baiThe rahe dahlīz pe un kī

    mahfil meñ hameñ bhī vo bulā.eñge kisī din

    ḳhāmosh haiñ is vaqt tirī bazm meñ lekin

    jo baat sunānī hai sunā.eñge kisī din

    dīvār jo nafrat kī uThāte haiñ diloñ meñ

    ham haath se un ke hī girā.eñge kisī din

    kyā fā.ida ai barq nasheman ko jalā kar

    tū jāntī hai ham to banā.eñge kisī din

    māñgī huī 'izzat nahīñ 'izzat ye batāne

    surḳhāb kā par ham bhī lagā.eñge kisī din

    KHushbu ki tarah dil mein samaenge kisi din

    naghme mere lab par tere aaenge kisi din

    insaf tera dekhne ai husn-e-jahangir

    hum 'adl ki zanjir hilaenge kisi din

    ye soch ke baiThe rahe dahliz pe un ki

    mahfil mein hamein bhi wo bulaenge kisi din

    KHamosh hain is waqt teri bazm mein lekin

    jo baat sunani hai sunaenge kisi din

    diwar jo nafrat ki uThate hain dilon mein

    hum hath se un ke hi giraenge kisi din

    kya faida ai barq nasheman ko jala kar

    tu jaanti hai hum to banaenge kisi din

    mangi hui 'izzat nahin 'izzat ye batane

    surKHab ka par hum bhi lagaenge kisi din

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now