Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-KHana

Bedam Shah Warsi

na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-KHana

Bedam Shah Warsi

na mehrāb-e-haram samjhe na jaane tāq-e-but-ḳhāna

jahāñ dekhī tajallī ho gayā qurbān parvāna

dil-e-āzād ko vahshat ne baḳhshā hai vo kāshāna

ki ik dar jānib-e-ka.aba hai ik dar sū-e-but-ḳhāna

binā-e-mai-kada Daalī jo ne pīr-e-mai-ḳhāna

to ka.aba rahā ka.aba na phir but-ḳhāna but-ḳhāna

kahāñ tuur mushtāq-e-laqā vo aañkh paidā kar

ki zarra zarra hai nazzāra-gāh-e-husn-e-jānāna

ḳhudā puurī kare ye hasrat-e-dīdār hasrat

ki dekhūñ aur tire jalvoñ ko dekhūñ be-hijābāna

shikast-e-tauba taqrīb meñ jhuk jhuk ke miltī haiñ

kabhī paimāna shīsha se kabhī shīshe se paimāna

sajā kar laḳht-e-dil se kashtī-e-chashm-e-tamannā ko

chalā huuñ bārgāh-e-ishq meñ le kar ye nazrāna

kabhī jo parda-e-be-sūratī meñ jalva-farmā the

unhīñ ko ālam-e-sūrat meñ dekhā be-hijābāna

mirī duniyā badal jumbish-e-abrū-e-jānāñ ne

ki apnā rahā apnā na ab begāna begāna

jalā kar sham.a parvāne ko saarī umr rotī hai

aur apnī jaan de kar chain se sotā hai parvāna

kisī mahfil-e-ishrat meñ paiham daur chalte haiñ

kisī umr labrez hone ko hai paimāna

hamārī zindagī to muḳhtasar ik kahānī thī

bhalā ho maut jis ne banā rakkhā hai afsāna

ye lafz-e-sālik-o-majzūb hai sharh ai 'bedam'

ki ik hushyār-e-ḳhatm-ul-mursalīñ aur ek dīvāna

na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-KHana

jahan dekhi tajalli ho gaya qurban parwana

dil-e-azad ko wahshat ne baKHsha hai wo kashana

ki ek dar jaanib-e-kaba hai ek dar su-e-but-KHana

bina-e-mai-kada Dali jo tu ne pir-e-mai-KHana

to kaba hi raha kaba na phir but-KHana but-KHana

kahan ka tur mushtaq-e-laqa wo aankh paida kar

ki zarra zarra hai nazzara-gah-e-husn-e-jaanana

KHuda puri kare ye hasrat-e-didar ki hasrat

ki dekhun aur tere jalwon ko dekhun be-hijabana

shikast-e-tauba ki taqrib mein jhuk jhuk ke milti hain

kabhi paimana shisha se kabhi shishe se paimana

saja kar laKHt-e-dil se kashti-e-chashm-e-tamanna ko

chala hun bargah-e-ishq mein le kar ye nazrana

kabhi jo parda-e-be-surati mein jalwa-farma the

unhin ko aalam-e-surat mein dekha be-hijabana

meri duniya badal di jumbish-e-abru-e-jaanan ne

ki apna hi raha apna na ab begana begana

jala kar shama parwane ko sari umr roti hai

aur apni jaan de kar chain se sota hai parwana

kisi ki mahfil-e-ishrat mein paiham daur chalte hain

kisi ki umr ka labrez hone ko hai paimana

hamari zindagi to muKHtasar si ek kahani thi

bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana

ye lafz-e-salik-o-majzub ki hai sharh ai 'bedam'

ki ek hushyar-e-KHatm-ul-mursalin aur ek diwana

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now