dard ki intiha raha hun main
dard kī intihā rahā huuñ maiñ
is liye muskurā rahā huuñ maiñ
yād-e-ayyām terī chaukhaT par
ek muddat khaḌā rahā huuñ maiñ
zulmat-e-shab charāġh-e-ulfat huuñ
āñdhiyoñ meñ DaTā rahā huuñ maiñ
lafz-o-mā'nī se māvarā ho kar
zaḳhm-e-dil kī sadā rahā huuñ maiñ
haañ sar-e-bazm sach kahā thā kabhī
us kī qīmat chukā rahā huuñ maiñ
surḳh-rū ho ke sū-e-maqtal ab
pā-ba-zanjīr jā rahā huuñ maiñ
ḳhuun se dāstāñ raqam kī hai
kyuuñ kahūñ bā-vafā rahā huuñ maiñ
raaz batlā.ūñ shā'irī kā kyā
be-ḳhudī meñ paḌā rahā huuñ maiñ
ik ḳhushī kī talāsh meñ 'akram'
āñsuoñ se nahā rahā huuñ maiñ
dard ki intiha raha hun main
is liye muskura raha hun main
yaad-e-ayyam teri chaukhaT par
ek muddat khaDa raha hun main
zulmat-e-shab charagh-e-ulfat hun
aandhiyon mein DaTa raha hun main
lafz-o-ma'ni se mawara ho kar
zaKHm-e-dil ki sada raha hun main
han sar-e-bazm sach kaha tha kabhi
us ki qimat chuka raha hun main
surKH-ru ho ke su-e-maqtal ab
pa-ba-zanjir ja raha hun main
KHun se dastan raqam ki hai
kyun kahun ba-wafa raha hun main
raaz batlaun sha'iri ka kya
be-KHudi mein paDa raha hun main
ek KHushi ki talash mein 'akram'
aansuon se naha raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.