kisi ko dhyan hi aaya na rut badalne ka
kisī ko dhyān hī aayā na rut badalne kā
thā intizār har ik ko havā ke chalne kā
vahī purāne musāfir mile na.ī rah par
thā iftiḳhār hameñ jin se bach nikalne kā
ab ek dūsre ko muḌ ke dekhte bhī nahīñ
kabhī thā zo'm bahut saath saath chalne kā
vo sang-dil sahī āġhosh-e-ārzū meñ magar
har ek pal use ehsās thā pighalne kā
ghirā huā huuñ hisār-e-hayāt meñ kab se
koī bhī rāsta miltā nahīñ nikalne kā
gila nahīñ koī tujh se nigāh-e-nashsha-e-yār
maiñ ḳhud girā ki irāda na thā sañbhalne kā
tulū'-e-sub.h ḳhudā jaane kyā samāñ laa.e
lagā hai shaam se dhaḌkā sā raat Dhalne kā
visāl-e-yār meñ kab hai firāq-e-yār kī baat
'ajīb lutf hai 'mohsin' vafā meñ jalne kā
kisi ko dhyan hi aaya na rut badalne ka
tha intizar har ek ko hawa ke chalne ka
wahi purane musafir mile nai rah par
tha iftiKHar hamein jin se bach nikalne ka
ab ek dusre ko muD ke dekhte bhi nahin
kabhi tha zo'm bahut sath sath chalne ka
wo sang-dil sahi aaghosh-e-arzu mein magar
har ek pal use ehsas tha pighalne ka
ghira hua hun hisar-e-hayat mein kab se
koi bhi rasta milta nahin nikalne ka
gila nahin koi tujh se nigah-e-nashsha-e-yar
main KHud gira ki irada na tha sanbhalne ka
tulu'-e-subh KHuda jaane kya saman lae
laga hai sham se dhaDka sa raat Dhalne ka
visal-e-yar mein kab hai firaq-e-yar ki baat
'ajib lutf hai 'mohsin' wafa mein jalne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.