na kisi dar se lipaTta na chimaT jata hun
na kisī dar se lipaTtā na chimaT jaatā huuñ
sard-mehrī zarā dekhūñ to palaT jaatā huuñ
shā'irī saath chalī aatī hai darvāze tak
aa ke daftar meñ har ik chiiz se kaT jaatā huuñ
baa'z auqāt zamīñ tang sī lagtī hai mujhe
baa'z auqāt kisī dil meñ simaT jaatā huuñ
aisā bādal huuñ ki ik pal meñ añdherā kar duuñ
itnā halkā huuñ ki ik saañs se chhaT jaatā huuñ
us ne showcase ke uupar mujhe rakkhā huā hai
aane vāloñ kī 'ināyāt se aT jaatā huuñ
ai zamīñ log falak-bos mujhe jānte haiñ
jab tirī had se nikaltā huuñ to ghaT jaatā huuñ
maañ ke siine kī tarah ab mujhe tanhā.ī hai
koī aahaT bhī sunūñ us se chimaT jaatā huuñ
zindagī merī hai aur merī hifāzat meñ hai
aap kahte haiñ to maiñ raah se haT jaatā huuñ
isī mushkil meñ 'zahīr' ab mujhe āsānī hai
maiñ hamesha se zamāne ke ulaT jaatā huuñ
na kisi dar se lipaTta na chimaT jata hun
sard-mehri zara dekhun to palaT jata hun
sha'iri sath chali aati hai darwaze tak
aa ke daftar mein har ek chiz se kaT jata hun
ba'z auqat zamin tang si lagti hai mujhe
ba'z auqat kisi dil mein simaT jata hun
aisa baadal hun ki ek pal mein andhera kar dun
itna halka hun ki ek sans se chhaT jata hun
us ne showcase ke upar mujhe rakkha hua hai
aane walon ki 'inayat se aT jata hun
ai zamin log falak-bos mujhe jaante hain
jab teri had se nikalta hun to ghaT jata hun
man ke sine ki tarah ab mujhe tanhai hai
koi aahaT bhi sunun us se chimaT jata hun
zindagi meri hai aur meri hifazat mein hai
aap kahte hain to main rah se haT jata hun
isi mushkil mein 'zahir' ab mujhe aasani hai
main hamesha se zamane ke ulaT jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.