Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai

Ghulam Husain Sajid

meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai

Ghulam Husain Sajid

mirī virāsat meñ jo bhī kuchh hai vo sab isī dahr ke liye hai

ye rañg ik ḳhvāb ke liye hai ye aag ik shahr ke liye hai

agar isī raat siyāhī ke saath kho jā.eñge sitāre

to phir ye mere lahū raushan charāġh kis lahr ke liye hai

tulū-e-imkān-e-ārzū par yaqīn rakhtī hai ek duniyā

magar ye be-kār ḳhvāhishoñ numūd ik zahr ke liye hai

kanār-e-dariyā hai ek maddham ġhubār kis dasht paḌāv

darūn-e-sahrā ye āb-e-haivāñ naqsh kis nahr ke liye hai

ye ḳhvāb hote hue sahīfoñ ke phuul mere liye haiñ lekin

zamīn-e-dil par ye āyatoñ nuzūl ik dahr ke liye hai

bas ek insān ḳhushī hai kisī haqīqat rū-numā.ī

magar kisī ḳhvāb ke ziyāñ malāl ik shahr ke liye hai

agar hai insān muqaddar ḳhud apnī miTTī rizq honā

to phir zamīñ par ye āsmāñ vajūd kis qahr ke liye hai

meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai

ye rang ek KHwab ke liye hai ye aag ek shahr ke liye hai

agar isi raat ki siyahi ke sath kho jaenge sitare

to phir ye mere lahu ka raushan charagh kis lahr ke liye hai

tulu-e-imkan-e-arzu par yaqin rakhti hai ek duniya

magar ye be-kar KHwahishon ki numud ek zahr ke liye hai

kanar-e-dariya hai ek maddham ghubar kis dasht ka paDaw

darun-e-sahra ye aab-e-haiwan ka naqsh kis nahr ke liye hai

ye KHwab hote hue sahifon ke phul mere liye hain lekin

zamin-e-dil par ye aayaton ka nuzul ek dahr ke liye hai

bas ek insan ki KHushi hai kisi haqiqat ki ru-numai

magar kisi KHwab ke ziyan ka malal ek shahr ke liye hai

agar hai insan ka muqaddar KHud apni miTTi ka rizq hona

to phir zamin par ye aasman ka wajud kis qahr ke liye hai

Source :
  • Book : Monthly Usloob (Pg. 393)
  • Author : Mushfiq Khawaja
  • Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
  • Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now