mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de
mirā haal pūchh ke ham-nashīñ mire soz-e-dil ko havā na de
bas yahī du'ā maiñ karūñ huuñ ab ki ye ġham kisī ko ḳhudā na de
ye jo zaḳhm-e-dil ko pakā.e ham liye phir rahe haiñ chhupā.e ham
koī nā-shanās-e-mizāj-e-ġham kahīñ haath us ko lagā na de
tū jahāñ se aaj hai nukta-chīñ kabhī muddatoñ meñ rahā vahīñ
maiñ gadā-e-rāhguzar nahīñ mujhe duur hī se sadā na de
tab-o-tāb-e-ishq kā hai karam ki jamī hai mahfil-e-chashm-e-nam
zarā dekhiyo ai havā-e-ġham ye charāġh koī bujhā na de
vo jo shā'irī kā sabab huā vo mu'āmla bhī 'ajab huā
maiñ ġhazal sunā.ūñ huuñ is liye ki zamāna us ko bhulā na de
mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de
bas yahi du'a main karun hun ab ki ye gham kisi ko KHuda na de
ye jo zaKHm-e-dil ko pakae hum liye phir rahe hain chhupae hum
koi na-shanas-e-mizaj-e-gham kahin hath us ko laga na de
tu jahan se aaj hai nukta-chin kabhi muddaton mein raha wahin
main gada-e-rahguzar nahin mujhe dur hi se sada na de
tab-o-tab-e-ishq ka hai karam ki jami hai mahfil-e-chashm-e-nam
zara dekhiyo ai hawa-e-gham ye charagh koi bujha na de
wo jo sha'iri ka sabab hua wo mu'amla bhi 'ajab hua
main ghazal sunaun hun is liye ki zamana us ko bhula na de
- Book : vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 353)
- Author : Kaliim aajiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.