Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDa viran mausam hai kabhi milne chale aao

Adeem Hashmi

baDa viran mausam hai kabhi milne chale aao

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    baḌā vīrān mausam hai kabhī milne chale aao

    har ik jānib tirā ġham hai kabhī milne chale aao

    hamārā dil kisī gahrī judā.ī ke bhañvar meñ hai

    hamārī aañkh bhī nam hai kabhī milne chale aao

    mire hamrāh garche duur tak logoñ raunaq hai

    magar jaise koī kam hai kabhī milne chale aao

    tumheñ to ilm hai mere dil-e-vahshī ke zaḳhmoñ ko

    tumhārā vasl marham hai kabhī milne chale aao

    añdherī raat gahrī ḳhamoshī aur tanhā dil

    diye lau bhī maddham hai kabhī milne chale aao

    tumhāre ruuTh ke jaane se ham ko aisā lagtā hai

    muqaddar ham se barham hai kabhī milne chale aao

    havāoñ aur phūloñ na.ī ḳhushbū batātī hai

    tire aane mausam hai kabhī milne chale aao

    baDa viran mausam hai kabhi milne chale aao

    har ek jaanib tera gham hai kabhi milne chale aao

    hamara dil kisi gahri judai ke bhanwar mein hai

    hamari aankh bhi nam hai kabhi milne chale aao

    mere hamrah garche dur tak logon ki raunaq hai

    magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao

    tumhein to ilm hai mere dil-e-wahshi ke zaKHmon ko

    tumhaara wasl marham hai kabhi milne chale aao

    andheri raat ki gahri KHamoshi aur tanha dil

    diye ki lau bhi maddham hai kabhi milne chale aao

    tumhaare ruTh ke jaane se hum ko aisa lagta hai

    muqaddar hum se barham hai kabhi milne chale aao

    hawaon aur phulon ki nai KHushbu batati hai

    tere aane ka mausam hai kabhi milne chale aao

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    baDa viran mausam hai kabhi milne chale aao Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now