zamin mile na mile aasman mil jae
zamīñ mile na mile āsmān mil jaa.e
kahīñ qayām ho koī jahān mil jaa.e
vo bastī yaad kahāñ hai jahāñ sukūnat thī
kabhī to ḳhvāb meñ us kā jahān mil jaa.e
koī raqīb parinde meñ Dhaal de mujh ko
amaan chāhiye tote meñ jaan mil jaa.e
sitāra ban ke kabhī ḳhvāb meñ chamak uTThūñ
isī bahāne mujhe āsmān mil jaa.e
use ġhurūr ki rahtā hai āftāboñ meñ
falak ko zer karūñ vo uḌaan mil jaa.e
panāh mil sake mujh ko dayār-e-māzī meñ
qadīm shahr kī koī zabān mil jaa.e
zamin mile na mile aasman mil jae
kahin qayam ho koi jahan mil jae
wo basti yaad kahan hai jahan sukunat thi
kabhi to KHwab mein us ka jahan mil jae
koi raqib parinde mein Dhaal de mujh ko
aman chahiye tote mein jaan mil jae
sitara ban ke kabhi KHwab mein chamak uTThun
isi bahane mujhe aasman mil jae
use ghurur ki rahta hai aaftabon mein
falak ko zer karun wo uDan mil jae
panah mil sake mujh ko dayar-e-mazi mein
qadim shahr ki koi zaban mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.