maut jis waqt dhyan mein aai
maut jis vaqt dhyān meñ aa.ī
zindagī darmiyān meñ aa.ī
yuuñ tamannā hai ḳhush mire dil meñ
jaise apne makān meñ aa.ī
sang-e-rah ban gayā ḳhayāl-safar
baat kaisī gumān meñ aa.ī
kaam aayā na muddatoñ kā sulūk
dil meñ ranjish ik aan meñ aa.ī
zindagī kauḌiyoñ ke mol bikī
jab bhī ūñchī dukān meñ aa.ī
dar-o-dīvār tilmilāne lage
dhuup aisī makān meñ aa.ī
vo nazar aap hī payām banī
aap hī darmiyān meñ aa.ī
dil kī har baat ban ga.ī aañsū
kyā ravānī bayān meñ aa.ī
tere jaate hī kyā huā dil ko
phir na āvāz kaan meñ aa.ī
jaan le kar bhī koī ḳhush na huā
kyā kamī imtihān meñ aa.ī
baat kuchh aur us kā matlab kuchh
dil kī laġhzish zabān meñ aa.ī
dil kī dīvār gir ga.ī shāyad
apnī āvāz kaan meñ aa.ī
kisī qisse meñ bhī vo baat nahīñ
jo tumhāre bayān meñ aa.ī
baiThe baiThe taḌap uThe 'bāqī'
kaun sī baat dhyān meñ aa.ī
maut jis waqt dhyan mein aai
zindagi darmiyan mein aai
yun tamanna hai KHush mere dil mein
jaise apne makan mein aai
sang-e-rah ban gaya KHayal-safar
baat kaisi guman mein aai
kaam aaya na muddaton ka suluk
dil mein ranjish ek aan mein aai
zindagi kauDiyon ke mol biki
jab bhi unchi dukan mein aai
dar-o-diwar tilmilane lage
dhup aisi makan mein aai
wo nazar aap hi payam bani
aap hi darmiyan mein aai
dil ki har baat ban gai aansu
kya rawani bayan mein aai
tere jate hi kya hua dil ko
phir na aawaz kan mein aai
jaan le kar bhi koi KHush na hua
kya kami imtihan mein aai
baat kuchh aur us ka matlab kuchh
dil ki laghzish zaban mein aai
dil ki diwar gir gai shayad
apni aawaz kan mein aai
kisi qisse mein bhi wo baat nahin
jo tumhaare bayan mein aai
baiThe baiThe taDap uThe 'baqi'
kaun si baat dhyan mein aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.