Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki

Mirza Ghalib

manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki

Mirza Ghalib

manzūr thī ye shakl tajallī ko nuur

qismat khulī tire qad-o-ruḳh se zuhūr

ik ḳhūñ-chakāñ kafan meñ karoḌoñ banāo haiñ

paḌtī hai aañkh tere shahīdoñ pe huur

vaa.iz na tum piyo na kisī ko pilā sako

kyā baat hai tumhārī sharāb-e-tahūr

laḌtā hai mujh se hashr meñ qātil ki kyuuñ uThā

goyā abhī sunī nahīñ āvāz suur

aamad bahār hai jo bulbul hai naġhma-sañj

uḌtī ik ḳhabar hai zabānī tuyūr

go vaañ nahīñ pa vaañ ke nikāle hue to haiñ

ka.abe se in butoñ ko bhī nisbat hai duur

kyā farz hai ki sab ko mile ek javāb

aao na ham bhī sair kareñ koh-e-tūr

garmī sahī kalām meñ lekin na is qadar

jis se baat us ne shikāyat zarūr

'ġhālib' gar is safar meñ mujhe saath le chaleñ

haj savāb nazr karūñgā huzūr

manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki

qismat khuli tere qad-o-ruKH se zuhur ki

ek KHun-chakan kafan mein karoDon banao hain

paDti hai aankh tere shahidon pe hur ki

waiz na tum piyo na kisi ko pila sako

kya baat hai tumhaari sharab-e-tahur ki

laDta hai mujh se hashr mein qatil ki kyun uTha

goya abhi suni nahin aawaz sur ki

aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj

uDti si ek KHabar hai zabani tuyur ki

go wan nahin pa wan ke nikale hue to hain

kabe se in buton ko bhi nisbat hai dur ki

kya farz hai ki sab ko mile ek sa jawab

aao na hum bhi sair karen koh-e-tur ki

garmi sahi kalam mein lekin na is qadar

ki jis se baat us ne shikayat zarur ki

'ghaalib' gar is safar mein mujhe sath le chalen

haj ka sawab nazr karunga huzur ki

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Javed Naseem

Javed Naseem,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki Nomaan Shauque

Javed Naseem

MANZOOR THI YEH SHAKL E TAJJALLI Javed Naseem

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now