Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi

Kamil Akhtar

manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi

Kamil Akhtar

manzaroñ bhiiḌ aisī to kabhī dekhī na thī

gaañv achchhā thā magar us meñ koī laḌkī na thī

ruuh ke andar ḳhalā hai ye mujhe ma.alūm thā

khokhlā hai jism bhī is ḳhabar pahuñchī na thī

haath thāmā hai sadā ke vāste vaise magar

saath us chhoḌne meñ kuchh burā.ī bhī na thī

un dinoñ bhī dard saaya mire ham-rāh thā

jab dhuāñ ban kar vo mere zehn par chhā.ī na thī

jazb ho jaane qissa ḳhud se bhī mansūb kar

bhuul merī thī agar bhī koī devī na thī

rañg pakkā ho chalā thā yaad aatā hai magar

dhuup mere jism par tab Thiik se bhīgī na thī

ḳhvāhishoñ vo jazīra bhī to āḳhir bah gayā

ḳhauf-o-ḳhatra jahāñ par koī ābādī na thī

manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi

ganw achchha tha magar us mein koi laDki na thi

ruh ke andar KHala hai ye mujhe malum tha

khokhla hai jism bhi is ki KHabar pahunchi na thi

hath thama hai sada ke waste waise magar

sath us ka chhoDne mein kuchh burai bhi na thi

un dinon bhi dard ka saya mere ham-rah tha

jab dhuan ban kar wo mere zehn par chhai na thi

jazb ho jaane ka qissa KHud se bhi mansub kar

bhul meri thi agar tu bhi koi dewi na thi

rang pakka ho chala tha yaad aata hai magar

dhup mere jism par tab Thik se bhigi na thi

KHwahishon ka wo jazira bhi to aaKHir bah gaya

KHauf-o-KHatra ki jahan par koi aabaadi na thi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now