Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi duniya se chhupaya KHud ko

Kartik Mishra

jab bhi duniya se chhupaya KHud ko

Kartik Mishra

MORE BYKartik Mishra

    jab bhī duniyā se chhupāyā ḳhud ko

    manzar-e-'ām pe paayā ḳhud ko

    ḳhud ke kuchh kaam nahīñ aa.e jab

    ḳhud ke andar se haTāyā ḳhud ko

    ḳhud ko ik baar bikherā aur phir

    ham ne sau baar juTāyā ḳhud ko

    itnā us ne bhī pareshāñ na kiyā

    jitnā ḳhud ham ne satāyā ḳhud ko

    us ko mahsūs jo karnā thā hameñ

    ham ne kuchh paas bulāyā ḳhud ko

    kis liye niiñd se naatā toḌā

    kis liye ham ne jagāyā ḳhud ko

    us nazar ne mujhe dekhā hī nahīñ

    jis kī ḳhātir thā sajāyā ḳhud ko

    jab bhi duniya se chhupaya KHud ko

    manzar-e-'am pe paya KHud ko

    KHud ke kuchh kaam nahin aae jab

    KHud ke andar se haTaya KHud ko

    KHud ko ek bar bikhera aur phir

    hum ne sau bar juTaya KHud ko

    itna us ne bhi pareshan na kiya

    jitna KHud hum ne sataya KHud ko

    us ko mahsus jo karna tha hamein

    hum ne kuchh pas bulaya KHud ko

    kis liye nind se nata toDa

    kis liye hum ne jagaya KHud ko

    us nazar ne mujhe dekha hi nahin

    jis ki KHatir tha sajaya KHud ko

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now