Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf mein wan Dhang hai bedad ka

Qurban Ali Salik Beg

lutf mein wan Dhang hai bedad ka

Qurban Ali Salik Beg

lutf meñ vaañ Dhañg hai bedād

kaam de ai ḳhāmushī fariyād

kyuuñ ki le tasvīr us dekhiye

haath qaabū meñ nahīñ bahzād

umr-bhar rakhtā hai pāband-e-kamīñ

said ḳhud ik daam hai sayyād

da.avā-e-bātil pursish rah ga.ī

kaun pursāñ hasrat-e-shaddād

duur tak apnī nigāheñ haiñ rasā

parda haa.il gar na ho ījād

kaun yaañ qaid-e-ta.alluq meñ nahīñ

pā-ba-gul hai sarv se āzād

dil meñ jab aa.e ki us ne sun liyā

nā-rasā kyuuñ naam hai fariyād

aap gardish se hai majbūr-e-charḳh

chāhnā aise se kyā imdād

dekhiye kasrat se vahdat ko to hai

ek jalva mūjid-o-ījād

kohkan ne umr-bhar kaaTā pahāḌ

maiñ huuñ juuyā charḳh buniyād

bach gayā tīr-e-nigāh-e-yār se

vāqa.ī ā.īna hai faulād

bhūlā hai dīn-o-duniyā aadmī

ḳhāssa hai ye butoñ yaad

pahle nafġh-e-sūr se aa jā.ūñ yaañ

shak na ho tum ko mirī fariyād

zarbat-e-tesha thī patthar lakīr

naam miTtā nahīñ farhād

ḳhud uḌā jaatā huuñ 'sālik' zo.af se

aah meñ tūfāñ hai qaum-e-ād

lutf mein wan Dhang hai bedad ka

kaam de ai KHamushi fariyaad ka

kyun ki le taswir us ki dekhiye

hath qabu mein nahin bahzad ka

umr-bhar rakhta hai paband-e-kamin

said KHud ek dam hai sayyaad ka

dawa-e-baatil ki pursish rah gai

kaun pursan hasrat-e-shaddad ka

dur tak apni nigahen hain rasa

parda hail gar na ho ijad ka

kaun yan qaid-e-talluq mein nahin

pa-ba-gul hai sarw se aazad ka

dil mein jab aae ki us ne sun liya

na-rasa kyun nam hai fariyaad ka

aap hi gardish se hai majbur-e-charKH

chahna aise se kya imdad ka

dekhiye kasrat se wahdat ko to hai

ek jalwa mujid-o-ijad ka

kohkan ne umr-bhar kaTa pahaD

main hun juya charKH ki buniyaad ka

bach gaya tir-e-nigah-e-yar se

waqai aaina hai faulad ka

bhula hai din-o-duniya aadmi

KHassa hai ye buton ki yaad ka

pahle nafgh-e-sur se aa jaun yan

shak na ho tum ko meri fariyaad ka

zarbat-e-tesha thi patthar ki lakir

nam miTta hi nahin farhad ka

KHud uDa jata hun 'salik' zoaf se

aah mein tufan hai qaum-e-ad ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now