Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun main hail ho jata hun apni hi tanhai mein

Zafar Hameedi

kyun main hail ho jata hun apni hi tanhai mein

Zafar Hameedi

kyuuñ maiñ haa.il ho jaatā huuñ apnī tanhā.ī meñ

varna ik pur-lutf samāñ hai ḳhud apnī gahrā.ī meñ

fitrat ne atā hai be-shak mujh ko bhī kuchh aqal-e-salīm

kaun ḳhalal-andāz huā hai merī har dānā.ī meñ

jhuuT namkīnī se bātoñ meñ aa jaatā hai mazā

koī nahīñ letā dilchaspī phīkī sachchā.ī meñ

apne the begāne the aur āḳhir meñ ḳhud merī zaat

kis kis ikrām huā hai kitnā mirī rusvā.ī meñ

badle badle lagte ho hai chehre par anjānā-pan

vaqt ke hāthoñ farq aayā merī bīnā.ī meñ

sunñe vāloñ ke chehroñ par surḳh lakīroñ ke haiñ nishāñ

ḳhūnī sochoñ āmezish hai naġhmoñ shahnā.ī meñ

sab qadreñ pāmāl huiiñ insāñ ne ḳhud ko masḳh kiyā

qudrat ne kitnī mehnat thī apnī bazm-ārā.ī meñ

apnī āgāhī un ko hotī nahīñ taufīq kabhī

log ḳhudā ko DhūñD rahe haiñ āfāqī pahnā.ī meñ

duniyā dānish-gāhoñ meñ aaj ajab ik bahas chhiḌī

kaun bharose ke qābil hai aaqil aur saudā.ī meñ

jaane kis kirdār kaa.ī mere ghar meñ aa pahuñchī

ab to 'zafar' chalnā hai mushkil āñgan chiknā.ī meñ

kyun main hail ho jata hun apni hi tanhai mein

warna ek pur-lutf saman hai KHud apni gahrai mein

fitrat ne ata ki hai be-shak mujh ko bhi kuchh aqal-e-salim

kaun KHalal-andaz hua hai meri har danai mein

jhuT ki namkini se baaton mein aa jata hai maza

koi nahin leta dilchaspi phiki si sachchai mein

apne the begane the aur aaKHir mein KHud meri zat

kis kis ka ikram hua hai kitna meri ruswai mein

badle badle lagte ho hai chehre par anjaana-pan

ya waqt ke hathon farq aaya meri hi binai mein

sunne walon ke chehron par surKH lakiron ke hain nishan

KHuni sochon ki aamezish hai naghmon ki shahnai mein

sab qadren pamal huin insan ne KHud ko masKH kiya

qudrat ne kitni mehnat ki thi apni bazm-arai mein

apni aagahi ki un ko hoti nahin taufiq kabhi

log KHuda ko DhunD rahe hain aafaqi pahnai mein

duniya ki danish-gahon mein aaj ajab ek bahas chhiDi

kaun bharose ke qabil hai aaqil aur saudai mein

jaane kis kirdar ki kai mere ghar mein aa pahunchi

ab to 'zafar' chalna hai mushkil aangan ki chiknai mein

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

kyun main hail ho jata hun apni hi tanhai mein Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now