Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai

Kaleem Aajiz

ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai

Kaleem Aajiz

kū-e-qātil hai magar jaane ko chāhe hai

ab to kuchh faisla kar jaane ko chāhe hai

log apne dar-o-dīvār se hoshiyār raheñ

aaj dīvāne ghar jaane ko chāhe hai

dard aisā hai ki chāhe hai zinda rahiye

zindagī aisī ki mar jaane ko chāhe hai

dil ko zaḳhmoñ ke sivā kuchh na diyā phūloñ ne

ab to kāñToñ meñ utar jaane ko chāhe hai

chhāñv va.adoñ hai bas dhokā dhokā ai dil

mat Thahar garche Thahar jaane ko chāhe hai

zindagī meñ hai vo uljhan ki pareshāñ ho kar

zulf tarah bikhar jaane ko chāhe hai

qatl karne adā bhī hasīñ qātil bhī hasīñ

na bhī marnā ho to mar jaane ko chāhe hai

ye chāhe hai ki pūchhūñ kabhī un zulfoñ se

kyā tumhārā bhī sañvar jaane ko chāhe hai

rasan-o-dār idhar kākul-o-ruḳhsār udhar

dil batā terā kidhar jaane ko chāhe hai

ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai

ab to kuchh faisla kar jaane ko ji chahe hai

log apne dar-o-diwar se hoshiyar rahen

aaj diwane ka ghar jaane ko ji chahe hai

dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye

zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai

dil ko zaKHmon ke siwa kuchh na diya phulon ne

ab to kanTon mein utar jaane ko ji chahe hai

chhanw wadon ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil

mat Thahar garche Thahar jaane ko ji chahe hai

zindagi mein hai wo uljhan ki pareshan ho kar

zulf ki tarah bikhar jaane ko ji chahe hai

qatl karne ki ada bhi hasin qatil bhi hasin

na bhi marna ho to mar jaane ko ji chahe hai

ji ye chahe hai ki puchhun kabhi un zulfon se

kya tumhaara bhi sanwar jaane ko ji chahe hai

rasan-o-dar idhar kakul-o-ruKHsar udhar

dil bata tera kidhar jaane ko ji chahe hai

Source :
  • Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 233)
  • Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
  • Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990)
  • Edition : 1990

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now