hai tera gal mal bose ka
hai tirā gaal maal bose kā
kyuuñ na kiije savāl bose kā
muñh lagāte hī hoñTh par tere
paḌ gayā naqsh laal bose kā
zulf kahtī hai us ke mukhḌe par
ham ne maarā hai jaal bose kā
sub.h ruḳhsār us ke niile the
shab jo guzrā ḳhayāl bose kā
añkhḌiyāñ surḳh ho ga.iiñ chaT se
dekh liije kamāl bose kā
jaan nikle hai aur miyāñ de Daal
aaj va.ada na Taal bose kā
gāliyāñ aap shauq se diije
raf.a kiije malāl bose kā
hai ye taaza shagūfa aur suno
phuul laayā nihāl bose kā
aks se aa.ine meñ kahtā hai
khīñch kar infi.āl bose kā
barg-e-gul se jo chiiz nāzuk hai
vaañ kahāñ ehtimāl bose kā
dekh 'inshā' ne kyā kiyā hai qahr
mutahammil ye gaal bose kā
hai tera gal mal bose ka
kyun na kije sawal bose ka
munh lagate hi honTh par tere
paD gaya naqsh lal bose ka
zulf kahti hai us ke mukhDe par
hum ne mara hai jal bose ka
subh ruKHsar us ke nile the
shab jo guzra KHayal bose ka
ankhDiyan surKH ho gain chaT se
dekh lije kamal bose ka
jaan nikle hai aur miyan de Dal
aaj wada na Tal bose ka
galiyan aap shauq se dije
rafa kije malal bose ka
hai ye taza shagufa aur suno
phul laya nihaal bose ka
aks se aaine mein kahta hai
khinch kar infial bose ka
barg-e-gul se jo chiz nazuk hai
wan kahan ehtimal bose ka
dekh 'insha' ne kya kiya hai qahr
mutahammil ye gal bose ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.