Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis tarah koi dhup mein pighle hai jale hai

Kaleem Aajiz

kis tarah koi dhup mein pighle hai jale hai

Kaleem Aajiz

kis tarah koī dhuup meñ pighle hai jale hai

ye baat vo kyā jaane jo saa.e meñ pale hai

dil dard bhaTTī meñ ka.ī baar jale hai

tab ek ġhazal husn ke sāñche meñ Dhale hai

kyā dil hai ki ik saañs bhī ārām na le hai

mahfil se jo nikle hai to ḳhalvat meñ jale hai

bhūlī huī yaad aa ke kaleje ko male hai

jab shaam guzar jaa.e hai jab raat Dhale hai

haañ dekh zarā kyā tire qadmoñ ke tale hai

Thokar bhī vo khaa.e hai jo itrā ke chale hai

kis tarah koi dhup mein pighle hai jale hai

ye baat wo kya jaane jo sae mein pale hai

dil dard ki bhaTTi mein kai bar jale hai

tab ek ghazal husn ke sanche mein Dhale hai

kya dil hai ki ek sans bhi aaram na le hai

mahfil se jo nikle hai to KHalwat mein jale hai

bhuli hui yaad aa ke kaleje ko male hai

jab sham guzar jae hai jab raat Dhale hai

han dekh zara kya tere qadmon ke tale hai

Thokar bhi wo khae hai jo itra ke chale hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now