Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab mein ek makan dekha tha

Mohammad Alvi

KHwab mein ek makan dekha tha

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    ḳhvāb meñ ek makāñ dekhā thā

    phir na khiḌkī thī na darvāza thā

    suune raste pe sar-e-shām koī

    ghar yādoñ meñ ghirā baiThā thā

    log kahte haiñ ki mujh thā koī

    vo jo bachchoñ tarah royā thā

    raat thī aur koī saath na thā

    chāñd bhī duur khaḌā hañstā thā

    ek melā lagā thā dil meñ

    maiñ akelā phirā kartā thā

    aisā hañgāma na thā jangal meñ

    shahr meñ aa.e to Dar lagtā thā

    ġham ke dariyā meñ tirī yādoñ

    ik jazīra ubhar aayā thā

    kaun aayā thā makāñ meñ 'alvī'

    kis ne darvāza abhī kholā thā

    KHwab mein ek makan dekha tha

    phir na khiDki thi na darwaza tha

    sune raste pe sar-e-sham koi

    ghar ki yaadon mein ghira baiTha tha

    log kahte hain ki mujh sa tha koi

    wo jo bachchon ki tarah roya tha

    raat thi aur koi sath na tha

    chand bhi dur khaDa hansta tha

    ek mela sa laga tha dil mein

    main akela hi phira karta tha

    aisa hangama na tha jangal mein

    shahr mein aae to Dar lagta tha

    gham ke dariya mein teri yaadon ka

    ek jazira sa ubhar aaya tha

    kaun aaya tha makan mein 'alwi'

    kis ne darwaza abhi khola tha

    Source :
    • Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 28)
    • Author :Mohammad Alvi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now