ek lafz-e-kun ke faiz se baDh kar nahin hun main
ik lafz-e-kun ke faiz se baḌh kar nahīñ huuñ maiñ
mehvar huuñ kā.ināt kā masdar nahīñ huuñ maiñ
mere hudūd kā vo ahāta kareñge kyā
aa paa.e canvas meñ vo manzar nahīñ huuñ maiñ
gar paak hai vujūd mirā jism-o-rūh se
andar ye kaun hai agar andar nahīñ huuñ maiñ
mānind ik sadaf ke maiñ furqat se pesh-tar
gauhar banā gayā huuñ pa gauhar nahīñ huuñ maiñ
maiñ vo nahīñ huuñ aap ko jis kī talāsh hai
vāqif the jis se aap vo 'safdar' nahīñ huuñ maiñ
ek lafz-e-kun ke faiz se baDh kar nahin hun main
mehwar hun kainat ka masdar nahin hun main
mere hudud ka wo ahata karenge kya
aa pae canwas mein wo manzar nahin hun main
gar pak hai wujud mera jism-o-ruh se
andar ye kaun hai agar andar nahin hun main
manind ek sadaf ke main furqat se pesh-tar
gauhar bana gaya hun pa gauhar nahin hun main
main wo nahin hun aap ko jis ki talash hai
waqif the jis se aap wo 'safdar' nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.