jit kar bhi mat hi khana paDa
jiit kar bhī maat hī khānā paḌā
yaar apnā dil hī samjhānā paḌā
zaḳhm gahre the magar utne nahīñ
vaqt ke marham se bhar jaanā paḌā
kyā kaheñ ab us but-e-maġhrūr ko
saḳhtiyoñ ke saath Thukrānā paḌā
ho gayā dariyā ko bhī ḳhud par ġhurūr
is liye kaase meñ bhar laanā paḌā
chhoḌ kar ġhālib ga.e the mai-kada
lauT kar vāpas vahīñ aanā paḌā
saj ga.ī yāroñ ki phir se mahfileñ
jaam saaqī ko bhī chhalkānā paḌā
raah jo murshid dikhā kar chal diye
'umr bhar us raah par jaanā paḌā
jit kar bhi mat hi khana paDa
yar apna dil hi samjhana paDa
zaKHm gahre the magar utne nahin
waqt ke marham se bhar jaana paDa
kya kahen ab us but-e-maghrur ko
saKHtiyon ke sath Thukrana paDa
ho gaya dariya ko bhi KHud par ghurur
is liye kase mein bhar lana paDa
chhoD kar ghaalib gae the mai-kada
lauT kar wapas wahin aana paDa
saj gai yaron ki phir se mahfilen
jam saqi ko bhi chhalkana paDa
rah jo murshid dikha kar chal diye
'umr bhar us rah par jaana paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.