dard ko hum ashk mein apne bahate hi nahin
dard ko ham ashk meñ apne bahāte hī nahīñ
hāl-e-dil ham aaj kal sab ko batāte hī nahīñ
vaqt ne baḳhshā hai ham ko zabt kā aisā hunar
ab kisī ilzām par ham tilmilāte hī nahīñ
aap ko lagtā hai ab bhī ham manāeñge huzūr
ham ḳhafā logoñ ko itnā sar chaḌhāte hī nahīñ
rahnumā.ī kā dikhāvā chāhe jitnā tum karo
ham kisī jhūTe dilāse meñ ab aate hī nahīñ
apnī qīmat jo gañvā de us se kaisā vāsta
ham gire sikke dubāra phir uThāte hī nahīñ
jin charāġhoñ ne hamesha tīrgī kā dam bharā
ham unhīñ se apne ghar ko jagmagāte hī nahīñ
qad baḌhāne kā hunar itnā to aatā hai hameñ
chaḌh ke kāñdhe par kisī ke qad baḌhāte hī nahīñ
ham uThāte hī nahīñ matlab-parastī kī fasīl
fā.ede kī chhāñv meñ rishta banāte hī nahīñ
'monikā' kuchh fāsle tahzīb kī pahchān haiñ
har kisī ko ham gale apne lagāte hī nahīñ
dard ko hum ashk mein apne bahate hi nahin
haal-e-dil hum aaj kal sab ko batate hi nahin
waqt ne baKHsha hai hum ko zabt ka aisa hunar
ab kisi ilzam par hum tilmilate hi nahin
aap ko lagta hai ab bhi hum manaenge huzur
hum KHafa logon ko itna sar chaDhate hi nahin
rahnumai ka dikhawa chahe jitna tum karo
hum kisi jhuTe dilase mein ab aate hi nahin
apni qimat jo ganwa de us se kaisa wasta
hum gire sikke dubara phir uThate hi nahin
jin charaghon ne hamesha tirgi ka dam bhara
hum unhin se apne ghar ko jagmagate hi nahin
qad baDhane ka hunar itna to aata hai hamein
chaDh ke kandhe par kisi ke qad baDhate hi nahin
hum uThate hi nahin matlab-parasti ki fasil
faede ki chhanw mein rishta banate hi nahin
'monika' kuchh fasle tahzib ki pahchan hain
har kisi ko hum gale apne lagate hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.