Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko pane ki talab mein aarzu uski bhi thi

Zuhoor Nazar

KHud ko pane ki talab mein aarzu uski bhi thi

Zuhoor Nazar

ḳhud ko paane talab meñ aarzū us bhī thī

maiñ jo mil jaatā to us meñ aabrū us bhī thī

zindagī ik dūsre ko DhūñDne meñ kaT ga.ī

justujū merī bhī dushman thī adū us bhī thī

merī bātoñ meñ bhī talḳhī thī sam-e-tanhā.ī

zahr-e-tanhā.ī meñ Duubī guftugū us bhī thī

vo gayā to karvaTeñ le le ke pahlū thak ga.e

kis tarah sotā mire sāñsoñ meñ us bhī thī

raat bhar āñkhoñ meñ us marmarīñ paikar rahā

chāñdnī ke jhilmilāne meñ numū us bhī thī

ghar se us bhī nikalnā ho gayā āḳhir muhāl

merī rusvā.ī se shohrat kū-ba-kū us bhī thī

maiñ huā ḳhā.if to us ke bhī uḌe hosh-o-havās

merī jo sūrat huī vo hū-ba-hū us bhī thī

kuchh mujhe bhī sīdhe-sādhe rāstoñ se bair hai

kuchh bhaTak jaane ke baa.is justujū us bhī thī

vo jise saare zamāne ne kahā merā raqīb

maiñ ne us ko ham-safar jaanā ki us bhī thī

dasht-e-furqat safar bhī āḳhirash tai ho gayā

aur kuchh din saath detā aarzū us bhī thī

baat baḌhne ko to baḌh jaatī bahut lekin 'nazar'

maiñ bhī kuchh kam-go thā chup rahne ḳhū us bhī thī

KHud ko pane ki talab mein aarzu us ki bhi thi

main jo mil jata to us mein aabru us ki bhi thi

zindagi ek dusre ko DhunDne mein kaT gai

justuju meri bhi dushman thi adu us ki bhi thi

meri baaton mein bhi talKHi thi sam-e-tanhai ki

zahr-e-tanhai mein Dubi guftugu us ki bhi thi

wo gaya to karwaTen le le ke pahlu thak gae

kis tarah sota mere sanson mein bu us ki bhi thi

raat bhar aankhon mein us ka marmarin paikar raha

chandni ke jhilmilane mein numu us ki bhi thi

ghar se us ka bhi nikalna ho gaya aaKHir muhaal

meri ruswai se shohrat ku-ba-ku us ki bhi thi

main hua KHaif to us ke bhi uDe hosh-o-hawas

meri jo surat hui wo hu-ba-hu us ki bhi thi

kuchh mujhe bhi sidhe-sadhe raston se bair hai

kuchh bhaTak jaane ke bais justuju us ki bhi thi

wo jise sare zamane ne kaha mera raqib

main ne us ko ham-safar jaana ki tu us ki bhi thi

dasht-e-furqat ka safar bhi aaKHirash tai ho gaya

aur kuchh din sath deta aarzu us ki bhi thi

baat baDhne ko to baDh jati bahut lekin 'nazar'

main bhi kuchh kam-go tha chup rahne ki KHu us ki bhi thi

Source :
  • Book : Range-e-Gazal (Pg. 72)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now