Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apne aap se sharmindagi si hoti hai

Bashir Badr

KHud apne aap se sharmindagi si hoti hai

Bashir Badr

ḳhud apne aap se sharmindagī hotī hai

kabhī kabhī to baḌī be-dilī hotī hai

sulagtī dhuup ghanī chāñdnī hotī hai

tumhāre saath ye duniyā na.ī hotī hai

gale meñ us ke ḳhudā ajiib barakat hai

vo boltā hai to ik raushnī hotī hai

vo gungunātā hai bele ke phuul khilte haiñ

tamām ghar meñ bichhī chāñdnī hotī hai

kiran nikalne se pahle gulāb dekhe haiñ

tumhārī yaad meñ vo tāzgī hotī hai

vo muskurātī huī dhuup jaisī āñkhoñ meñ

ghanerī palkoñ ke pīchhe namī hotī hai

mirī ġhazal kisī parda-nashīñ qissa hai

agar sunā.ūñ to be-pardagī hotī hai

maiñ boltā huuñ to ilzām hai baġhāvat

maiñ chup rahūñ to baḌī bebasī hotī hai

KHud apne aap se sharmindagi si hoti hai

kabhi kabhi to baDi be-dili si hoti hai

sulagti dhup ghani chandni si hoti hai

tumhaare sath ye duniya nai si hoti hai

gale mein us ke KHuda ki ajib barakat hai

wo bolta hai to ek raushni si hoti hai

wo gungunata hai bele ke phul khilte hain

tamam ghar mein bichhi chandni si hoti hai

kiran nikalne se pahle gulab dekhe hain

tumhaari yaad mein wo tazgi si hoti hai

wo muskuraati hui dhup jaisi aankhon mein

ghaneri palkon ke pichhe nami si hoti hai

meri ghazal kisi parda-nashin ka qissa hai

agar sunaun to be-pardagi si hoti hai

main bolta hun to ilzam hai baghawat ka

main chup rahun to baDi bebasi si hoti hai

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now